To Begin at the beginning..!

We often have heard from our elders that any new task must be begun with the name of God. As i begin writing this blog, I thought what can be the best note to give it a kick-start, the answer was simple. To write about the man, and tell the world who is behind the winds of change that i have been experiencing, more on the inner side than on the outer. So here i am, writing about Prakhar Bhartiye, the man behind Youth Alliance. Let the following do the rest of the talking! Enjoy reading.

Ek din ek pal ek insaan kuch aisa aata hai,
Ki aane wale din mahine saal ko chuu jata hai..
Kuch aisa hi hamara prakhar se naata hai..




Iss NIRAASHA bhari duniyaa me vo ek aasha ki kiran laata hai
ek khwaab to dekha hai humne bhi
par darr gye the uske raah ki mushkile dekhkar
par ek din ek pal ek insaan kuch aisa aata hai..
ki vo us khwaab ko pura krne ki raah par ungli pakad kar chalwaata hai
kuch aisa hi prakhar se hamara naata hai.

Dekha toh tha bohot se netaon ko
magar sab kehte the humein, ki hamare pad chinho par chalo
Jaisa hum karein bas vaisa krte chalo

Par prakhar kuch alag sa bhaata hai
Jo hamare pad chinho ko hi raah ka naksha banaata hai
Jo humein peeche nahi khud ke saath chalata hai
Ek din ek pal ek insaan kuch aisa aata hai,
Ki aane wale din mahine saal ko chuu jata hai
Kuch aisa hi hamara prakhar se naata hai.



Bachpan me Maine dheere dheere chalna seekha 
Pir baada hua toh logo ko matlab ke lie, chhal krta dekha
Dekhte dekhte maine bhi duniya se, girna seekha
Par bhagwaan ko toh kuch aur hi manzuur tha
Ki prakhar iss chalne girne ke raaste me aa gya
Aur sidhanto ki kadr krna seekha gya
Un siddhanto ke lie duniyaa se ladd jata hai vo
Par unhe haraata nahi, unko bhi kuch seekha aata hai vo!

khushi to bohot hai humme bhi
par dukh ke baadalo ne kahin dhak dia tha use
par prakhar ki muskurahat
jisme dil ki khusi to hai hi
par har gum ko khushi me badal dene ki taakat bhi hai
jisme duniyaa ke har vyaakulta ko mitaane ki shakti bhi hai
bas yehi dekhkar hum bhi jhum uthte hain unki iss muskaan ke saath
aur shukriyaa krte hn uss khuda ka kyunki
Ek din ek pal ek insaan kuch aisa aata hai,
Ki aane wale din mahine saal ko chuu jata hai
Kuch aisa hi hamara prakhar se naata hai.


Aksar sab kuch hamari ummeedon ke anusar toh nahi hota
fir humein gussa bohot aata hai
par fir prakhar game me aata hai
Jo chahte hue bhi gussa nahi kar paata hai..


Soch bohot kamala ki cheez hai
ye aapko dusro se alag banati hai
humare paas bhi thi ek aisi soch
par fir prakhar ne aakar humse pucha
ki sochta toh duniyaa ka har insaan hai
fir tum alag kahan se hue
aur hum mook hokar bas khade reh gye
 vo toh jeeta khata peeta sota hai uss ek soch ke saath
Us ek lakshaya ke saath
humein bhi usse milti hai prerna
ki humme agar vo pyaas hai
Aur khud par vo vishwaas hai
Use pane ki aas hai
Phir hamari manzil bas paas hai..
Bas der hai toh hamare us ek kadam uthane ki
Dhyaan se Dekho to khuda ka ghar bhi paas hai.

Ek din ek pal ek insaan kuch aisa aata hai,
Ki aane wale din mahine saal ko chuu jata hai
Kuch aisa hi hamara prakhar se naata hai!

Comments

  1. Every word is so true and describes him so well :)
    Good Job Shahsank (y)

    ReplyDelete
  2. Incredible Shashank... And yes .. what ever you had written for this one man Prakhar bhiaya. he just took and step and saath milta gaya caarvan banta gaya .... or maanzil paas ati gayi !! He is an amazing source of positiveness and I value that.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Learning to live consciously in 2016

What would a thriving rural space look like?

A song to awaken the modern human self?